aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai [qaraar=rest/repose, bedaad=injustice] dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahii.n hai [hayaat = life; dahar = world] [baa_andaazaa = according to; Khumaar = intoxication] giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahii.n hai [giriyaa = weeping; iKhtiyaar = control] ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai [abas=indifferent; gumaan=suspicion; ranjish=unpleasantness;] [Khaak=ashes/dust; ushshaq=lovers; Gubaar=clouds of dust] dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahii.n hai [ma_anii = meanings, Gair-e-gul = other than blossoms ] qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare vaaye! agar ahad ustavaar nahii.n hai [ahad = promise, baare = at last, ustavaar = firm/determined ] tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib' terii qasam ka kuchh aitabaar nahii.n hai [mai_kashii = boozing; aitabaar = trust/faith]
No comments:
Post a Comment